Saturday, October 07, 2006

Dasht e' Tanhai....

Dasht e' tanhai mein Ai jane jahan Larjan Hain
Teri aawaz ke sae, tere hotoin ke sarab
Dasht e' tanhai mein, doori ke khas aou khak tale'
Khil rahein hain tere pahalu ke saman aur gulab
Uth rahi hai kahin kurbat se tere saans ki aanch
Apni kushboo mein sulagti hui Madhaam madhaam
Door ufak paar chamakti hui katra katra
Gir rahi hai teri dildar nazar ki shabnam
Is kadar pyar se ai jane jahan rakha hai
Dil ke rukhsaar pe is waqt teri yaad ne haath
Yun guman hota hai garche hai abhi subahe phiraq
Dhal gaya hijra ka din aa bhi gayi vasl ki raat !!

This beautiful piece of poetry was written by Faiz Ahmed Faiz.
( May be I understood the meaning bit too late......)

No comments: